Apnay Andar kay talent ko Pehchanay
Ap apnay andar kay talent ko khud bohat achi tarikay say jantay hainapni soch ko bandlo mind say nokri karna nikal do aur socho kay main kiya kaam kar sakta hun
ab ap socho gay kay kaam shuru karnay kay liye paison ki zaroorat hoti hai
Yes ya sahi hai per ap pehlay ye dekho kay ap kay andar talent kiya hai aur kiya kar saktay ho agar mind hi nokri ka bana ho to phir business nahi ho sakta han thori taklif uthani parti hai phir ja kar kuch hasil hota hai
1.Ap kiya kar saktay ho
ap pehlay ye dekho kay ap ko interest kis main hai kiya ap online working karna chahtay ho ya offline
phir agay ka socho agar kuch taleem hasil kiy hui hai just matric or inter aur interest hai kay online working karun to theek hai well and good ajao online main main ap ko method bataoun ga online earning kay
aur agar off line karna chahtay ho to wo bhi ap ko bataoun ga
2.offline working kiya hai
offline working us ko kehtay hain jaisy nokri aur apna karobat karna physical jaisay shop kholna mazdori karna wagiara
ab ap ye dekho kay ap abhi kiya kar rahy thay aur agay kiya karna chahtay ho
agar jo kam kar rahay thay wo hi continue karna chahtay ho to theek ha aur agar koi dusra kaam karna chahtay ho to pehlay dekh lo kay ap ko us ka experience hai ya nahi aisa na ho kay new kaam may thora paisa lagao aur wo bhi doob jai
kiyou kay main apnay tajurbay say bata ta hun kay ap jab koi apna business shuru karain to jo ap invest karain utnay hi ap kay pass backup ho na chahiye takay ap apnay expenses nikal sakay
kiyu kay business shuru hotay hi profit nahi daita us ko kam say kam 1 say 3 months lagtay hain
han agar khanay wagaira ka stall ya shop kholo to wo shur say hi ap ko kuch na kuch profit deta hai
offline main jo kaam hai wo hai
1.Biryani shop
2.Juice shop
3.Toys shop
4.Fruit Shop
ETC....................................
3.Online Working kiya hai
.online working computer say hoti hai aur ap ka sab kaam computer kay zariya say hota hai
is kay liye ap ko computer ki knowledge honi chahiye
Computer ya laptop hona chaiye
internet connection ho
is main ap kiya kaiy kar saktay hain wo ye hain
1.Freelance yani apni services daina
2 Blogging yani khud ka blog create kar kay us say earning karna
3.Affiliate marketing kisi bhi company ki Product sal kar kay us say commission kamana
5.Article Writer kisi kay liye blog ka article likhna agar ap ki english achi hai to
6.aur bohat kuch hai
in ki detail ainda apppp ko post main milay gi
ab apnay ye decide karna hai kay ap ko karna kiya hai
is blog per ap ko bohat kuch seekhnay ko milay ga to apnay doston ko is blog ko shar karo aur jo kuch pochna hai comments main likho kay ap kiya karna chahtay ho
main apnay experience ko ap kay saath share karun ga aur jis qadar ho sakay ga ap ko guide karun ga takay ap apnay future kay liye behtar rah chun sakain
Thanks for reading keep sharing and caring
Shahzad







